Posts by basit

Talaash

Talaash Insaan azaal say talash e shanaakhat mein bhatuk raha hai.. uljhee hoi door sirra jiska milta nahi hai.. suljhanay lago ulajhtee chali jaate hai.. hasool e ishq insaan kay mizaaj ka asaas hai.. far’aaq iss kay badan e lateef ko jasaad e kaseef say saf araa rakhta hai.. kamzoor aur qavee ke jung azlee hai.. iss jung mein kuch ba payada sehraoon ke khaak chantay hain tu kuch hisaar e zaat mein qilla bund hoo kay daray sehmay baithay...

Read More

Khawb Safar

Khawb Safar Safar karnay ka shouq tu shaid nahi keh sakta haan adat mujh ko bachpan say pari.. choota sa tha tu mairay walid nookri kay sialsay mein lahore aa gai… hum apnay daada daadi kay saath rahay Nowshehra mein.. phir jab un kay roozgar ka kuch bando’bast howa tu hum bhi lahore aaa gai.. magar kuch arsay kay baad un ko karachi jaana par gaya tu hum dobara apnay daada daadi kay paas rehnay chalay gai.. kuch saal aisay hee...

Read More

Dukh

Dukh Dukh…!! na hoon tu khushi apni kadar o keemat khoo daiti hai.. har cheez ko apni pehchaan kay wastay kissi aas’ray ke kissi saharay kee.. kissi dosray wastay kee zaroorat hooti hai.. khushi ke, taskeen ke.. rahat ke manziloon ko jatay rastoon pay kam hee makhmal ka bichoona milta hai.. khall’yaan bahaar dainay say pehlay banjar zameen hoota hai.. jab tuk uss mein hull na chalaoo.. beej na beejoo.. faslain nahi ugteen.....

Read More

Kasaak

Kasaak Kiyon samandar kay paniyoon mein tum nay zehar hai ghoola ? Mairi subh ko kiyon mukhatasar hai rakha.. yeah shab kiyon tum nay taveel hai kar di ? Samar yeah kis amal ka daitay hoo mujhay tum ? pehloo mein dil hai jo rakha .. ussay kis say ho dratay ? yeah sab jo hoo kartay… tu kiyon ankhoon ko mairi khawb ho daitay ? mein mayoosiyoon kay ghar mein hoon rehta … mujhay hasratoon ke bhawar mein chooroo.. saraboon ke rah pay...

Read More

Yon Tunha Nahee Kartay

Yon Tunha Nahee Kartay Mairay hissay mein aye tumharay dukh bhi ajeeb hain.. jo mein nay sambhaal rakhay hain.. sab gillay shikway jo tum say hain.. jo kabhi kiyeah nahi mein nay.. gar chahoon bhi tu kahaan kar paoon ga.. chaloo sab raqam karta hoon.. par bhala kab koun samajhta hai.. lafzoon ko parho gi tum.. lehja kab sun paoo gi.. tum ho haseen rungoon say bani titli.. aur mein tehra babool jaisa.. par yeah kaisi majboori… tumharay...

Read More