Bhooli Bisree Yaad

Written by basit on July 25, 2011. Posted in Writeups

Bhooli Bisree Yaad

Jo sab say pehli yaad hai mairi woh aik khullay asmaan ke hai.. roshan chaand ke aur chamaktay taroon kee.. aur un mein urtay phirtay kuch awara badloon kee.. nanha sa howa karta tha.. sahi say yaaad bhi nahi.. magar itna yaad hai.. woh rattain bohat roshan howa kartee theen.. un ratoon ko pariyaan sarhanay baithay shahzadiyoon ke kahaniyaan sunaya kartee theen.. shahzadoon ke battain kiya kartee theen.. un mein say ik mein bhi tha.. janay kab suntay suntay ankh lag gai.. utha tu woh mahtaab maira woh saray shahaab mairay khoo chukay thay.. ik aftaab tha jo sar pay chamak raha tha.. woh ab dhal raha hai.. @};-

Share

Aik Yaad

Written by basit on July 25, 2011. Posted in Writeups

Aik Yaad
Yaddain.. Bus Yaddain reh jaati hain…. !!

Ik bhali sourat howa karti thi.. bari naram o nazuk see.. boolay tu kanooon mein rus gholay.. aaj uss say kiyeah saray wadday pighal gai hai.. zabat kay bandhay band saray.. toot gai hain… yadoon ke barkha mein daikhoo.. dhanak uss ke khabar hai laye…
Chaloo tum ko batata hoon.. aaj uss say milata hoon.. jo kisi jal tarang jaisay mujh mein baj rahi hai.. pichlay baras ke baat hai shaid.. par lagay sadiyoon ke ashnaiyee thi.. sar e raah millay thai hum… jaisay do ajnabee younhee rastay mein mil jayain..!!

Share

Banjara

Written by basit on July 25, 2011. Posted in Writeups

Banjara

Kal shaam daikha ik banjara.. phir raha tha ban kay awara.. kabhi iss gali kabhi uss gali.. gham ke panahoon mein tha keh ajnabi rahoon mein tha.. ankhain bujhi bujhi see theen.. qadam thakay thakay say thai.. shakastagi kay jaal mein… furqatoon ke taal pay.. youn chal raha tha jaisay… ruka ho kaheen pay koyee.. bujhtay souraj kay khoof say.. bay’rung hotay asmaan say.. .. daar say pichra panchi koi.. ashiyaan ko dhoondtay.. bay’takaan koonjtay.. thak kay gir gaya tha.. suna hai mar gaya tha…!!

Share

Baanjh Mohabbat

Written by basit on July 25, 2011. Posted in Writeups

Baanjh Mohabbat

Mohabbatain jab banjh hoo jaain.. tu in mein giraftaar loug pachtaoon ke lehroon pay hasratoon ke naoo ko bin patwar choor daitay hain.. hum nay daikha hai phir sahil nahi milta aur kashtiyaan doob jaati hain.. !!

Aab sahil ke tamana kis ko hai..!! par ghari woh kiyon nahi aati.. samandar kay gehray neelay paniyoon mein… jab hum ko doob jana hai.. aur in ankhoon mein rukay sab ansoon nay… jab apnay sahil ko pana hai.. !!

Share

Sawali

Written by basit on July 25, 2011. Posted in Writeups

Savaali
Janam liya nahi sawaal pehlay howa.. koun hai tu..? zubaan milli nahi.. jawaab kaya daita.. pehchaan maang lee mujh say.. kuch jaanta na tha.. kehta bhi tu kaya.. hazaar namoon mein kaheen.. bay’naam na hoo jaoon.. ik naam rakh diya maira.. Sawaali.. !!

Share

Mohabbat Kuch Nahee Hooti

Written by basit on July 25, 2011. Posted in Writeups

Mohabbat Kuch Nahee Hooti
Mohabbat Saraab hoti hai.. hum sehraoon mein bastay hain.. kari dhoop mein… meeloon tanha chaltay hain.. payaas barhti rehti hai.. saye pighalnay lagtay hain.. paoon chalni hootay hain.. hum phir bhi chaltay rehtay hain.. kabhi jo girnay lagtay hain.. yeah hum ko thaam laitee hai.. kissi teelay kee aot say.. chup kay taknay lagti hai.. sab kuch bhool jatay hain.. hum iss ke aur barhtay hain… yeah agay barhti rehti hai.. kissi saraab ke tarhaan.. hum jitna paas jatay hain.. yeah utna door hooti hai.. sehra ke karakti dhoop mein .. yeah sahil jaisee lagti hai.. hum is ko apna samajhtay hain.. saraab jaisi yeah mohabbat .. kab kissi ko milti hai.. hum phir bhi iss ke chahat mein.. umar guzara kartay hain….!!

Share

Aajnabi

Written by basit on July 25, 2011. Posted in Writeups

Aajnabi

Woh jo shab kay andhay’roon mein.. Mujh say zia mangta tha.. Barhtee parchaiyoon say dar kay.. mujh mein panaah dhoondta tha.. Koi baat jo dil pay giraan guzri ho.. koi gham jo asaib ban raha hoo … koi runj jo rooh mein ghullay ja raha hoo.. koi gul jo seenay mein murjha raha ho… koi baat hoti.. uss ke har rah mairi aur nikalti thi.. !!

Share

Khawb Mar’tay Nahi

Written by basit on July 25, 2011. Posted in Writeups

Khawb Mar’tay Nahi

Khawboon ke baat chali hai.. ik misraah bay ikhtyaar laboon pay aa gaya.. khawb jhootay sahi.. khawb saharay tu hain.. par yeah saharay bhi kaya saharay hain.. !

..tamaam umar saharoon ke talaash rehti hai..
..tamaam umar saharay faraib daitay hain..

Share

Sukh Ke Cha’yaa

Written by basit on July 25, 2011. Posted in Writeups

Sukh Ke Cha’yaa

Divana..!!

Phiray dukh kay sehra mein.. khoojay sukh ke chaaya ko.. rait pay bani lehrain.. jin pay woh chalta rehta hai… jin mein ik khawb dooba tha.. jis ka soog karnay ko… hawa pay dosh dharnay koo… woh saraboon ko kehay manzal… parchaiyoon mein bun’nay chehray… chehroon mein bharay hai rung.. karay har pal khudi say jung.. jo andar cheekhta hai har pal… uss ko chup karanay ko… woh kitna ouncha hansta hai.. woh kaisay chup kay roota hai.. Jaan na lay koi yeah baat.. woh iss ko chupanay ko… kitnay naghmay likhta hai.. woh kitni battain karta hai.. jo un’suni he rehti hain.. jo un’kahi hee rehti hai.. kabhi jo sun lo jin ko tum.. tu tumharay galoon pay.. guloon say rung bhaar jayain.. wohi bay’mainee say naghmay… jinhain tumharay kaan sun’nay ko .. har pal tarastay rehtay hain.. gar tum sun lo un ko tu.. rait pay bani lehroon say… ik sunehra khawb ubar aye.. aur dukh keh sehra mein bhatkay ik divaanay kay bay’rung chehray mein.. tumhara sab rung utar jaye.. woh saraaboon say nikal aye.. usay sukh ke chaaya mil jaye… !!

Share

Bundaan Miyaan

Written by basit on July 25, 2011. Posted in Writeups

Bundaan Miyaan

Bundan miyaan humaray mazi kay sathee hoon na hoon.. magar bohat arsa saye ke tarhaan sath sath rehay.. Shairi kay dil dadaah hain.. aur Iqbal say khaas raghbaat rakhtay hai… IqBal say lagao ke wajaah un ke shairi qut’an nahi.. haan magar IqBal hai… IqBal in ke majbori howa karta tha magar ab wajaah e shohraat banta jaa raha hai… In kay IqBal say jitnee sinf e nazuk nalaan hain yeah uss pay utnay hee naazaan hain.. Sinf e Nazuk say utnay hee rujhaoo say baat kartay hain jitnay tanaoo say sinf e nazuk in say.. Hama waqat inkay asaab tanaoo ka shikaar rehtya hain..

Share