Hum’nawa Maseeha ban kay challay atay hain kabhi Nasay’h ban kay chalay aatay hain.. kaisay hain loug yahaan.. khuda ban kay challay aatay hain.. saraboon mein jeetay hain magar alam haqeeqat ka uthaaye challay aatay hain.. Samjhay nahi kuch sab samjhanay challay aaatay hain.. Naya jahaan uthaye naya rung jamanay challay aatay hain.. kaya kahiyeah sunay ga koun bhala… haqeeqatain hain kaya… hein saraab kaya…...
Writeups
Bakree Bhair bakriya’an humaray mua’sharay kee lazmi juziyaat mein say aik hain.. puranay waqatoon mein yeah ray’vaar ke sourat mein chartee nazar aatee theen.. aur amooman in ke rasaee haree haree charagahoon tuk mehdood raha kartee theen.. magar jaisay jaisay insaan phellata gaya yeah insaanoon mein sirayat karti gai hain.. bilkul waisay hee jaisay darya samandar mein mill jaye tu darya nahi rehta waisay hee humara...
Koi sada sisaakt’te rahti hai raat bhar… !! Kis kadar karb say guzrta hai woh lamha.. jab aa’gahi ka azaab utrata hai.. sochta hoon jal bujhay khawboon ke raakh say koi chingari uthay.. in sard taveeel raatoon mein phir jashan e bahaaraan hoo.. ruks karain madhoosh hoo kay un kahay jazboon kay saye.. toot kay bikhar jaoon in ke bahoon mein.. mukamal hoo jaoon.. pighal jayain sadiyoon say jammay ansoon mein in mein gum hoo...
Pachtawa Woh mujh ko milli thi pichlay baras.. daikha mujhay tu mairi ankhoon mein.. woh khab bhi daikhay.. jo aur kissi ki chahat mein.. mein sadiyoon say sajaye phirta hoon.. !! Woh khawboon ke shay’dayee larki… neelay peelay runghoon ke chah mein.. kitni door nikal gai thee.. ik khawb gharoonda bun’nay lagi thi.. mein Banjara… kab khawb gharoon mein reh sakta tha.. qadmoon ko mairay rahoon say ishq.. manzaroon ka hoon...
Aas Udasiyoon ka mousam tha… aur yadoon ka samandar bhee… tunhaiyoon ke ratain thein.. Aur chaand bohat akayla bhee.. aisay mein ik koonj jo.. ghar ko apnay bhooli tu.. aur bay’tahaasha koonji tu.. karb ke uss pukaar pay.. asmaan ke woosat say.. ik sitaara toota tha.. kaya tum nay uss ko daikha tha.. ? Mein awara sarkoon pay.. janay kin khayaloon mein.. anjani kuch rahoon pay.. ban kay pagal phirta hoon.. beeti hoi sab batoon...
Hisaar e Zaat Ka Qaidi Kal kaee baras ke mufarqat kay baad milla mujh ko.. poocha.. chehra utra howa kiyon hai.. kahaan gum rahay ab tuk.. ankhoon mein utray udaasiyoon kay saye.. yeah bikhray howay baal.. thaki thaki yeah chaal.. kaya haal bana rakha hai.. sab theek tu hai na… ? Ik pheekee see hansi hans kay.. kehnay laga mujh say.. !!” “Ajab shakhas tha mein bhi.. har chehray pay ghazal likhna.. har shakhas ko gulaab kehna.....