Banjara
Kal shaam daikha ik banjara.. phir raha tha ban kay awara.. kabhi iss gali kabhi uss gali.. gham ke panahoon mein tha keh ajnabi rahoon mein tha.. ankhain bujhi bujhi see theen.. qadam thakay thakay say thai.. shakastagi kay jaal mein… furqatoon ke taal pay.. youn chal raha tha jaisay… ruka ho kaheen pay koyee.. bujhtay souraj kay khoof say.. bay’rung hotay asmaan say.. .. daar say pichra panchi koi.. ashiyaan ko dhoondtay.. bay’takaan koonjtay.. thak kay gir gaya tha.. suna hai mar gaya tha…!!
Kaya janiyeah kissay khabar… in rastoon ke dhool mein.. millay ga kab uss ko ghar.. ya rahay ga tamaam shab.. younhee dar badar.. dar badar… !!
Kal shaam daikha tha mein nay jissay.. issi raah pay issi moor pay.. aaj daikhtay hoo tum mujhay jahaan.. kaya janiyeah kissay khabar.. ik ashiyaan ke khooj mein.. kab tuk rahay ga yeah safar.. !!
Related posts: